Total Pageviews

Sunday, March 29, 2015

Main Metro Hun, Main Zaroori Hun! (Poem)

Asalam o Alikum Everyone!

So I am back with a post and since this is on metro bus and also the fact that only Pakistanis will understand it so I will post parts of it in Urdu as well as English.

So after being tortured, beaten and bruised by the construction of this so called "METRO BUS" for almost more than a year now, I argued with some PML (N) supporters about the use of this bus, arguing that Electricity, Water, Gas, Education, Terrorism are much much MUCH bigger problems that needed to be solved as soon as possible instead of wasting money and material on a bus that can be saved for later. Not that its not a helpful project but it can be delayed at the moment. All the supporters said "INFRASTRUCTURE IS IMPORTANT"

OKAY! So Infrastructure is important. Fine! But what about the existing Infrastructure? Is it perfect? Is it perfect enough to the government to build new? Let's have a look shall we? A little poem I wrote, It doesn't rhyme in many places but aah well, I am no Ghalib!

Airport Jaati road par 2 2 inch key garhay hain
Gaariyan neechay lagti hain, baar baar jhatkay lagtay hain
Magar iss par koi nazar nahin, tou mei bhi aankh pher leti hun
Nawaz shehbaz kehtay hain main metro hun, main zaroori hun

IJP Road hai jahan hazaaron gaariyan chalti hain
Din main har waqt rush hota hai, raat bhi non stop chalti hain
Magar iss road par aik bhi light nahin, iss baat pey kaan naa dharti hun
Nawaz shehbaz kehtay hain main metro hun, main zaroori hun

Dharno nay kiye saaray karoobaar band, hakoomat cheekh cheekh kehti thi
Laugon ka nuqsaan huwa hai, press conference kar key kehti thi
Saal sey blue area ka business tabah hai, iss baat pey kaan naa dharti hun
Nawaz shehbaz kehtay hain main metro hun, main zaroori hun

Lahore ko Paris bana liya abb Barakahu ki baari hai
Shehbaz Sharif nay Josh-e-Khitabat main aisi bhi chuss maari hai
Bijli, gas, paani, roads sab tabah magar, iss baat pey kaan naa dharti hun
Nawaz shehbaz kehtay hain main metro hun, main zaroori hun

Expressway key baad hai highway aata jahan laakhon laug rehtay hain
Puray highway par aik bhi light nahin, ghup andheray main jaatay hain
Metro ki lights din main bhi chalti hain iss baat pey kaan naa dharti hun
Nawaz shehbaz kehtay hain main metro hun, main zaroori hun

Aik saal sey khuwaar huay hain, traffic jams main phans phans kar
Metro bannay waali hai bas iss maheenay main sun sun kar
6 deadlines guzar chuki hain iss baat pey kaan naa dharti hun
Nawaz shehbaz kehtay hain main metro hun, main zaroori hun



That's it for me for this time
Don't forget to like my page and give your feedback
https://www.facebook.com/SyedsXtremeShenanigans


Till Next Time
Adios!



2 comments:

  1. Sir jee gud attempt !!!
    One doesn't look for the flow of words when u have a whole scenario flowing into ur mind while reading this.. Zabrdast !!

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thanks A Lot!
      Its my first attempt! Will try better next time!
      Do share on facebook and among friends!

      Delete